soe hue badan sar-e-mahshar uThaiye
so.e hue badan sar-e-mahshar uThā.iye
ye kyā ki bār-e-umr mukarrar uThā.iye
āñkhoñ meñ khīñch lījiye aks-e-jamāl-e-yār
ik kūza-e-atash meñ samundar uThā.iye
dil sañg hai to sañg ko namnāk kījiye
is nam se phir ḳhamīr-e-gul-e-tar uThā.iye
āñkheñ bichhā.e rakhiye sar-e-rāh-e-intizār
palkoñ pe nāz-o-ġhamza-e-dilbar uThā.iye
jab maslahat ho bai'at-e-shab-e-zād pe musir
koī charāġh bar-sar-e-sarsar uThā.iye
duniyā hai ik uruus hazār āshnā 'muhib'
ab hajla-e-urūs se bistar uThā.iye
soe hue badan sar-e-mahshar uThaiye
ye kya ki bar-e-umr mukarrar uThaiye
aankhon mein khinch lijiye aks-e-jamal-e-yar
ek kuza-e-atash mein samundar uThaiye
dil sang hai to sang ko namnak kijiye
is nam se phir KHamir-e-gul-e-tar uThaiye
aankhen bichhae rakhiye sar-e-rah-e-intizar
palkon pe naz-o-ghamza-e-dilbar uThaiye
jab maslahat ho bai'at-e-shab-e-zad pe musir
koi charagh bar-sar-e-sarsar uThaiye
duniya hai ek urus hazar aashna 'muhib'
ab hajla-e-urus se bistar uThaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.