Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

soe hue palang ke sae jaga gaya

Adil Mansuri

soe hue palang ke sae jaga gaya

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    so.e hue palañg ke saa.e jagā gayā

    khiḌkī khulī to āsmāñ kamre meñ aa gayā

    āñgan meñ terī yaad jhoñkā jo aa gayā

    tanhā.ī ke daraḳht se patte uḌā gayā

    hañste chamakte ḳhvāb ke chehre bhī miT ga.e

    battī jalī to man meñ añdherā chhā gayā

    aayā thā kaale ḳhuun sailāb pichhlī raat

    barsoñ purānī jism dīvār Dhā gayā

    tasvīr meñ jo qaid thā vo shaḳhs raat ko

    ḳhud frame toḌ ke pahlū meñ aa gayā

    vo chaa.e rahā thā kisī dūsre ke saath

    mujh par nigāh paḌte kuchh jheñp gayā

    soe hue palang ke sae jaga gaya

    khiDki khuli to aasman kamre mein aa gaya

    aangan mein teri yaad ka jhonka jo aa gaya

    tanhai ke daraKHt se patte uDa gaya

    hanste chamakte KHwab ke chehre bhi miT gae

    batti jali to man mein andhera sa chha gaya

    aaya tha kale KHun ka sailab pichhli raat

    barson purani jism ki diwar Dha gaya

    taswir mein jo qaid tha wo shaKHs raat ko

    KHud hi frame toD ke pahlu mein aa gaya

    wo chae pi raha tha kisi dusre ke sath

    mujh par nigah paDte hi kuchh jhenp sa gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    soe hue palang ke sae jaga gaya Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now