sone ke dil miTTi ke ghar pichhe chhoD aae hain
sone ke dil miTTī ke ghar pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
vo galiyāñ vo shahr ke manzar pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
apne ā.īnoñ ko ham ne rog lagā rakkhā hai
kyā kyā chehre ham shīshagar pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
tum apne dariyā kā ronā rone aa jaate ho
ham to apne saat samundar pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
dekho ham ne apnī jānoñ par kyā zulm kiyā hai
phuul sā chehra chāñd sā paikar pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
ham bhī kyā pāgal the apne pyaar kī saarī pūñjī
us kī ik ik yaad bachā kar pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
manzil se ab duur nikal aa.e haiñ 'qais' to ḳhush haiñ
ham-sā.e ke kutte kā Dar pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
sone ke dil miTTi ke ghar pichhe chhoD aae hain
wo galiyan wo shahr ke manzar pichhe chhoD aae hain
apne aainon ko hum ne rog laga rakkha hai
kya kya chehre hum shishagar pichhe chhoD aae hain
tum apne dariya ka rona rone aa jate ho
hum to apne sat samundar pichhe chhoD aae hain
dekho hum ne apni jaanon par kya zulm kiya hai
phul sa chehra chand sa paikar pichhe chhoD aae hain
hum bhi kya pagal the apne pyar ki sari punji
us ki ek ek yaad bacha kar pichhe chhoD aae hain
manzil se ab dur nikal aae hain 'qais' to KHush hain
ham-sae ke kutte ka Dar pichhe chhoD aae hain
- Book : Aks Padta Hai Chaand ka (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.