sote se wo jag paDa hai
sote se vo jaag paḌā hai
ḳhvāboñ kā nuqsān huā hai
ham bhī ghar meñ aa baiThe haiñ
rasta bhī sunsān paḌā hai
bachche pub-g khel rahe haiñ
būḌhā bargad dekh rahā hai
park kī suunī benchoñ par
shaam kā saaya phail rahā hai
tanhā.ī kī gahrī dhuup meñ
terī yaad kā phuul khilā hai
andar aa kar dekh kabhī tū
yaañ puurā ik shahr basā hai
jīvan ya.anī khel-tamāshā
jitnā dekhā utnā bachā hai
sote se wo jag paDa hai
KHwabon ka nuqsan hua hai
hum bhi ghar mein aa baiThe hain
rasta bhi sunsan paDa hai
bachche pub-g khel rahe hain
buDha bargad dekh raha hai
park ki suni benchon par
sham ka saya phail raha hai
tanhai ki gahri dhup mein
teri yaad ka phul khila hai
andar aa kar dekh kabhi tu
yan pura ek shahr basa hai
jiwan yani khel-tamasha
jitna dekha utna bacha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.