soz bhi saz bhi har naghma-sarai teri
soz bhī saaz bhī har naġhma-sarā.ī terī
zarre zarre pe jahāñ ke hai ḳhudā.ī terī
merā ehsās to chhū bhī na sakā aks tirā
maiñ ne lafzoñ se hī tasvīr banā.ī terī
raushnī terī hī rahtī hai nabard-e-bīnā
dī hai kānoñ ko bhī āvāz sunā.ī terī
hoñT milte haiñ to bas terī ināyat ke sabab
kaise alfāz kareñ shukr-adā.ī terī
merī tangī mirī āsūdgī sab terī atā
mujh ko maḳhlūq meñ hāsil hai gadā.ī terī
us ke qadmoñ se lipaT jaatī hai manzil aakar
jis ko mil jaa.e agar rāhnumā.ī terī
ik taraf merī duā ek taraf bāb-e-'asar'
donoñ dete rahe hoñToñ se duhā.ī terī
soz bhi saz bhi har naghma-sarai teri
zarre zarre pe jahan ke hai KHudai teri
mera ehsas to chhu bhi na saka aks tera
main ne lafzon se hi taswir banai teri
raushni teri hi rahti hai nabard-e-bina
di hai kanon ko bhi aawaz sunai teri
honT milte hain to bas teri inayat ke sabab
kaise alfaz karen shukr-adai teri
meri tangi meri aasudgi sab teri ata
mujh ko maKHluq mein hasil hai gadai teri
us ke qadmon se lipaT jati hai manzil aakar
jis ko mil jae agar rahnumai teri
ek taraf meri dua ek taraf bab-e-'asar'
donon dete rahe honTon se duhai teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.