soz-e-darun se jal-bujho lekin dhuan na ho
soz-e-darun se jal-bujho lekin dhuan na ho
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
soz-e-darūñ se jal-bujho lekin dhuāñ na ho
hai dard-e-dil kī shart ki lab par fuġhāñ na ho
phir ho rahā hai shor-e-salā-e-nabard-e-ishq
haañ ai dahān-e-zaḳhm javāb al-amāñ na ho
bāzār-e-jāñ-farosh meñ saudā na ho ye kyā
gāhak mile to jins to ye bhī garāñ na ho
is dard-e-lā-javāb kī kyūñkar karūñ davā
vo hāl-e-dil-nashīñ bhī to mujh se bayāñ na ho
kyā fā.eda gar us ne chhupāyā bhī dard-e-dil
ye kaam jab bane ki mizha ḳhūñ-chakāñ na ho
kyā kiije chun ke mā.ida-e-dil ko laḳht laḳht
terā hī tiir siine meñ jab mehmāñ na ho
ḳhauf-e-raqīb kā to ye 'ālam aur us pe ishq
sab chāhte haiñ chaah kā un par gumāñ na ho
hai vasl-e-yār kī bhī tamannā kā hausla
Dar ye bhī hai ki tab.a-e-adū par girāñ na ho
pahlū se dil ko le ke vo kahte haiñ naaz se
kyā aa.eñ ghar meñ aap hī jab mezbāñ na ho
sunte hī jis ke ḳhalq se kohrām mach gayā
'jauhar' vo terī hī to kahīñ dāstāñ na ho
soz-e-darun se jal-bujho lekin dhuan na ho
hai dard-e-dil ki shart ki lab par fughan na ho
phir ho raha hai shor-e-sala-e-nabard-e-ishq
han ai dahan-e-zaKHm jawab al-aman na ho
bazar-e-jaan-farosh mein sauda na ho ye kya
gahak mile to jins to ye bhi garan na ho
is dard-e-la-jawab ki kyunkar karun dawa
wo haal-e-dil-nashin bhi to mujh se bayan na ho
kya faeda gar us ne chhupaya bhi dard-e-dil
ye kaam jab bane ki mizha KHun-chakan na ho
kya kije chun ke maida-e-dil ko laKHt laKHt
tera hi tir sine mein jab mehman na ho
KHauf-e-raqib ka to ye 'alam aur us pe ishq
sab chahte hain chah ka un par guman na ho
hai wasl-e-yar ki bhi tamanna ka hausla
Dar ye bhi hai ki taba-e-adu par giran na ho
pahlu se dil ko le ke wo kahte hain naz se
kya aaen ghar mein aap hi jab mezban na ho
sunte hi jis ke KHalq se kohram mach gaya
'jauhar' wo teri hi to kahin dastan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.