soz-e-dil pas-e-wafa dard-e-jigar hai ki nahin
soz-e-dil pās-e-vafā dard-e-jigar hai ki nahīñ
jo thā masjūd-e-malā.ik vo bashar hai ki nahīñ
farsh-e-getī se sar-e-arsh pahuñchne vaale
kūcha-e-dil se tirī rāhguzar hai ki nahīñ
garm bāzār hai har samt havas-ḳhezī kā
jazba-e-ishq kā bhī dil pe asar hai ki nahīñ
jis meñ ho jalva-fagan kaun-o-makāñ kī vus.at
ahl-e-dānish meñ vo andāz-e-nazar hai ki nahīñ
soz-e-dil pas-e-wafa dard-e-jigar hai ki nahin
jo tha masjud-e-malaik wo bashar hai ki nahin
farsh-e-geti se sar-e-arsh pahunchne wale
kucha-e-dil se teri rahguzar hai ki nahin
garm bazar hai har samt hawas-KHezi ka
jazba-e-ishq ka bhi dil pe asar hai ki nahin
jis mein ho jalwa-fagan kaun-o-makan ki wusat
ahl-e-danish mein wo andaz-e-nazar hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.