soz-e-dil sham-e-tapan ho jaise
soz-e-dil sham-e-tapāñ ho jaise
aag chūlhe meñ nihāñ ho jaise
kaisī afsurda bahār aa.ī hai
ab bhī gulshan meñ ḳhizāñ ho jaise
mujh pe mahfil meñ tabassum kī nazar
ba-tufail-e-digrāñ ho jaise
aap kī chashm-e-ināyat kā yaqīñ
dil-fareb ek gumāñ ho jaise
yuuñ vo sunte haiñ kahānī merī
ik hadīs-e-digrāñ ho jaise
chauñk uThe ham to qayāmat hogī
zindagī ḳhvāb-e-girāñ ho jaise
dil se ik aah to niklī thī magar
sham-e-kushta kā dhuāñ ho jaise
sāmne un ke ye aalam hai 'razā'
ek aalam nigarāñ ho jaise
soz-e-dil sham-e-tapan ho jaise
aag chulhe mein nihan ho jaise
kaisi afsurda bahaar aai hai
ab bhi gulshan mein KHizan ho jaise
mujh pe mahfil mein tabassum ki nazar
ba-tufail-e-digran ho jaise
aap ki chashm-e-inayat ka yaqin
dil-fareb ek guman ho jaise
yun wo sunte hain kahani meri
ek hadis-e-digran ho jaise
chaunk uThe hum to qayamat hogi
zindagi KHwab-e-giran ho jaise
dil se ek aah to nikli thi magar
sham-e-kushta ka dhuan ho jaise
samne un ke ye aalam hai 'raza'
ek aalam nigaran ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.