Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

soz-e-firaq dil mein chhupae hue hain hum

Bubbles Hora Saba

soz-e-firaq dil mein chhupae hue hain hum

Bubbles Hora Saba

MORE BYBubbles Hora Saba

    soz-e-firāq dil meñ chhupā.e hue haiñ ham

    aur lab pe ik sukūt sajā.e hue haiñ ham

    jo āshnā nahīñ haiñ mohabbat aañch se

    kyuuñ aas un se phir bhī lagā.e hue haiñ ham

    sho.ale jo bujh chuke haiñ unheñ tum havā na do

    dil meñ ek aag lagā.e hue haiñ ham

    tauba re in sañg-dilī aur shauq-e-dīd

    kyā ḳhuub haal apnā banā.e hue haiñ ham

    kahne ko duur ham se bahut duur vo sahī

    par fāsle diloñ ke miTā.e hue haiñ ham

    jaate haiñ de ke vo to 'sabā' rut ḳhizāoñ

    dil ke chaman to phir bhī khilā.e hue haiñ ham

    soz-e-firaq dil mein chhupae hue hain hum

    aur lab pe ek sukut sajae hue hain hum

    jo aashna nahin hain mohabbat ki aanch se

    kyun aas un se phir bhi lagae hue hain hum

    shoale jo bujh chuke hain unhen tum hawa na do

    dil mein hi ek aag lagae hue hain hum

    tauba re in ki sang-dili aur shauq-e-did

    kya KHub haal apna banae hue hain hum

    kahne ko dur hum se bahut dur wo sahi

    par fasle dilon ke miTae hue hain hum

    jate hain de ke wo to 'saba' rut KHizaon ki

    dil ke chaman to phir bhi khilae hue hain hum

    Source :
    • Book : Takhaiyyul (Pg. 115)
    • Author : Bubbles Hora Saba
    • Publication : Arshia Graphic
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now