soz-e-gham-e-firaq jalae to kya karun
soz-e-gham-e-firaq jalae to kya karun
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
soz-e-ġham-e-firāq jalā.e to kyā karūñ
dar-parda koī aag lagā.e to kyā karūñ
pur-kaif-o-pur-surūr zamāne kī yaad meñ
dil ġham se baar baar bhar aa.e to kyā karūñ
begāna hai vo rasm-e-vafā se ye sab durust
par ye adā bhī dil ko lubhā.e to kyā karūñ
bekār garche mashġhala-e-ishq hai magar
rah rah ke koī dil meñ samā.e to kyā karūñ
maiñ sochtā rahā ye shab-e-hijr der tak
aa.e to kyā karūñ vo na aa.e to kyā karūñ
soz-e-gham-e-firaq jalae to kya karun
dar-parda koi aag lagae to kya karun
pur-kaif-o-pur-surur zamane ki yaad mein
dil gham se bar bar bhar aae to kya karun
begana hai wo rasm-e-wafa se ye sab durust
par ye ada bhi dil ko lubhae to kya karun
bekar garche mashghala-e-ishq hai magar
rah rah ke koi dil mein samae to kya karun
main sochta raha ye shab-e-hijr der tak
aae to kya karun wo na aae to kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.