soz-e-gham se jigar jal raha hai magar mera dard-e-nihan aashkara nahin
soz-e-gham se jigar jal raha hai magar mera dard-e-nihan aashkara nahin
Vafa Malikpuri
MORE BYVafa Malikpuri
soz-e-ġham se jigar jal rahā hai magar mirā dard-e-nihāñ āshkārā nahīñ
ghuT ke marnā gavārā hai ai chāra-gar rāz-e-ulfat ayaañ ho gavārā nahīñ
sham.a jaltī rahī raat Dhaltī rahī nabz-e-bīmār ruk ruk ke chaltī rahī
aa ke dam bhar ke mehmāñ ko ab dekh lo is ke bachne kā koī sahārā nahīñ
bach ke tūfāñ kī zad se kahāñ jā.egā ab kahāñ tak talātum se Takrā.egā
is safīne ko ab Duub jaane bhī do jis kī qismat meñ koī kinārā nahīñ
hai chaman to vahī vo nasheman kahāñ chand tinkoñ kī ḳhātir chaleñ āñdhiyāñ
ab vo jhoñke nahīñ ab vo tūfān nahīñ ab vo sho.ale nahīñ vo sharārā nahīñ
ḳhār-o-gul meñ hai bāham ye paikār kyā ye jafā-o-vafā meñ hai takrār kyā
dil kī baazī meñ hai jiit kyā haar kyā husn jiitā nahīñ ishq haarā nahīñ
jis se bazm-e-vafā meñ charāġhāñ na ho dil kī vīrān bastī gulistāñ na ho
ye tabassum to koī tabassum nahīñ ye ishārā to koī ishārā nahīñ
dil se bigḌī ḳhirad se ḳhafā ho gayā dīn-o-duniyā se nā-āshnā ho gayā
baiThe baiThe 'vafā' ko ye kyā ho gayā ab tumhārā karam bhī gavārā nahīñ
soz-e-gham se jigar jal raha hai magar mera dard-e-nihan aashkara nahin
ghuT ke marna gawara hai ai chaara-gar raaz-e-ulfat ayan ho gawara nahin
shama jalti rahi raat Dhalti rahi nabz-e-bimar ruk ruk ke chalti rahi
aa ke dam bhar ke mehman ko ab dekh lo is ke bachne ka koi sahaara nahin
bach ke tufan ki zad se kahan jaega ab kahan tak talatum se Takraega
is safine ko ab Dub jaane bhi do jis ki qismat mein koi kinara nahin
hai chaman to wahi wo nasheman kahan chand tinkon ki KHatir chalen aandhiyan
ab wo jhonke nahin ab wo tufan nahin ab wo shoale nahin wo sharara nahin
KHar-o-gul mein hai baham ye paikar kya ye jafa-o-wafa mein hai takrar kya
dil ki bazi mein hai jit kya haar kya husn jita nahin ishq haara nahin
jis se bazm-e-wafa mein charaghan na ho dil ki viran basti gulistan na ho
ye tabassum to koi tabassum nahin ye ishaara to koi ishaara nahin
dil se bigDi KHirad se KHafa ho gaya din-o-duniya se na-ashna ho gaya
baiThe baiThe 'wafa' ko ye kya ho gaya ab tumhaara karam bhi gawara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.