Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

soz-e-parwana nur-e-din-e-shama

Kishan Kumaar Waqaar

soz-e-parwana nur-e-din-e-shama

Kishan Kumaar Waqaar

MORE BYKishan Kumaar Waqaar

    soz-e-parvāna nūr-e-dīn-e-sham.a

    tār-e-zunnār dil-nashīn-e-sham.a

    qatra-e-ḳhūn-e-zaḳhm-e-parvāna

    qashqa-e-tāza-e-jabīn-e-sham.a

    tum bhī do ek bosa bahr-e-ḳhudā

    ki hai gul-gīr bosa-chīn-e-sham.a

    dāna-e-ishq bo rahā hai patañg

    soḳhta garche hai zamīn-e-sham.a

    merī arz-e-hayāt hai tuul

    nafas-e-tañg vāpsīn-e-sham.a

    aah parvāne pareshāñ duud

    ban gayā zulf-e-ambarīn-e-sham.a

    qadr-e-majnūñ na hogī mere ba.ad

    ḳhaak jugnū ho jā-nashīn-e-sham.a

    roz-e-avval se haiñ baham marbūt

    dast-e-parvāna āstīn-e-sham.a

    haq meñ parvāne ke hai tīr-e-shahāb

    ai 'vaqār' āh-e-ātishīn-e-sham.a

    soz-e-parwana nur-e-din-e-shama

    tar-e-zunnar dil-nashin-e-shama

    qatra-e-KHun-e-zaKHm-e-parwana

    qashqa-e-taza-e-jabin-e-shama

    tum bhi do ek bosa bahr-e-KHuda

    ki hai gul-gir bosa-chin-e-shama

    dana-e-ishq bo raha hai patang

    soKHta garche hai zamin-e-shama

    meri arz-e-hayat ka hai tul

    nafas-e-tang wapsin-e-shama

    aah parwane ka pareshan dud

    ban gaya zulf-e-ambarin-e-shama

    qadr-e-majnun na hogi mere baad

    KHak jugnu ho ja-nashin-e-shama

    roz-e-awwal se hain baham marbut

    dast-e-parwana aastin-e-shama

    haq mein parwane ke hai tir-e-shahab

    ai 'waqar' aah-e-atishin-e-shama

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now