soz-parwar nigah rakhte hain
soz-parvar nigāh rakhte haiñ
ham nazar meñ bhī aah rakhte haiñ
is hujūm-e-tajalliyāt meñ ham
hasrat-e-yak-nigāh rakhte haiñ
ye ta.alluq jahāñ se kaafī hai
aap se rasm-o-rāh rakhte haiñ
baḳhsh degā vo baḳhshne vaalā
bas ye uzr-e-gunāh rakhte haiñ
ham hijābāt se nahīñ māyūs
jalva pesh-e-nigāh rakhte haiñ
ġham vasīla hai aur tū maqsūd
ham ye manzil ye raah rakhte haiñ
ek jalva dikhā nahīñ sakte
vo jo ik jalva-gāh rakhte haiñ
koī aalam ho hazrat-e-'tābish'
kaj hamesha kulāh rakhte haiñ
soz-parwar nigah rakhte hain
hum nazar mein bhi aah rakhte hain
is hujum-e-tajalliyat mein hum
hasrat-e-yak-nigah rakhte hain
ye talluq jahan se kafi hai
aap se rasm-o-rah rakhte hain
baKHsh dega wo baKHshne wala
bas ye uzr-e-gunah rakhte hain
hum hijabaat se nahin mayus
jalwa pesh-e-nigah rakhte hain
gham wasila hai aur tu maqsud
hum ye manzil ye rah rakhte hain
ek jalwa dikha nahin sakte
wo jo ek jalwa-gah rakhte hain
koi aalam ho hazrat-e-'tabish'
kaj hamesha kulah rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.