soz se saz kiya chahiye ab
soz se saaz kiyā chāhiye ab
nai se āvāz kiyā chāhiye ab
khā ke tīr-e-nigah-e-nāz us ko
qadr-andāz kiyā chāhiye ab
jis meñ jī jism meñ aa.e ai jaañ
haañ vo ejaaz kiyā chāhiye ab
dil meñ aatā hai tire ġham ko yaar
mahram-e-rāz kiyā chāhiye ab
kaan tak us ke to pahuñche yakbār
aisī āvāz kiyā chāhiye ab
husn kā vasf tire sūrat-e-ḳhat
ḳhāma-parvāz kiyā chāhiye ab
roġhan-e-qāz male vasf-e-nāz
taaza pardāz kiyā chāhiye ab
tā na ho tā.ir-e-jāñ said kahīñ
chashm-e-dil-bāz kiyā chāhiye ab
tā.ir-e-fikr ko sustī se 'vaqār'
tez parvāz kiyā chāhiye ab
soz se saz kiya chahiye ab
nai se aawaz kiya chahiye ab
kha ke tir-e-nigah-e-naz us ko
qadr-andaz kiya chahiye ab
jis mein ji jism mein aae ai jaan
han wo ejaz kiya chahiye ab
dil mein aata hai tere gham ko yar
mahram-e-raaz kiya chahiye ab
kan tak us ke to pahunche yakbar
aisi aawaz kiya chahiye ab
husn ka wasf tere surat-e-KHat
KHama-parwaz kiya chahiye ab
roghan-e-qaz male wasf-e-naz
taza pardaz kiya chahiye ab
ta na ho tair-e-jaan said kahin
chashm-e-dil-baz kiya chahiye ab
tair-e-fikr ko susti se 'waqar'
tez parwaz kiya chahiye ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.