Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sozish-e-shola-e-furqat se fana ho jaana

Jameela Khuda Bakhsh

sozish-e-shola-e-furqat se fana ho jaana

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    sozish-e-shola-e-furqat se fanā ho jaanā

    maraz-e-ġham ke liye hai ye davā ho jaanā

    sahl hai nāvak-e-mizhgāñ qazā ho jaanā

    ġhamza-e-chashm āsāñ hai jafā ho jaanā

    aarzū tujh se ye kahtā huuñ shab-e-furqat meñ

    ḳhud duā honā kabhī dast-e-duā ho jaanā

    sūrat-e-ḳhāk-e-gulistāñ meñ na rahnā ai dil

    misl-e-bū dāman-e-gulshan se judā ho jaanā

    daaġh ban kar to rahā dāman-e-qātil pe magar

    bū-e-ḳhūñ bahr-e-ḳhudā bū-e-vafā ho jaanā

    be-qarārī se to rāhat ho koī dam hāsil

    jism se jān-e-hazīñ jald judā ho jaanā

    shab-e-ġham dil se 'jamīla' ne yahī ro ke kahā

    mil ke miTTī meñ to naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā

    sozish-e-shola-e-furqat se fana ho jaana

    maraz-e-gham ke liye hai ye dawa ho jaana

    sahl hai nawak-e-mizhgan ka qaza ho jaana

    ghamza-e-chashm ka aasan hai jafa ho jaana

    aarzu tujh se ye kahta hun shab-e-furqat mein

    KHud dua hona kabhi dast-e-dua ho jaana

    surat-e-KHak-e-gulistan mein na rahna ai dil

    misl-e-bu daman-e-gulshan se juda ho jaana

    dagh ban kar to raha daman-e-qatil pe magar

    bu-e-KHun bahr-e-KHuda bu-e-wafa ho jaana

    be-qarari se to rahat ho koi dam hasil

    jism se jaan-e-hazin jald juda ho jaana

    shab-e-gham dil se 'jamila' ne yahi ro ke kaha

    mil ke miTTi mein to naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now