subah se raat tak ghar mein baTi hai
subah se raat tak ghar meñ baTī hai
zarā sā chheḌ do to hañs paḌī hai
koī ehsās jab kāñdhā chhue to
ḳhushī se agle hī pal ro paḌī hai
koī mushkil meñ ho aage dukhī hai
ki us ke haath meñ jādū-chhaḌī hai
bahut rotī hai par tanhā.ī meñ
sabhī rishtoñ kī vo tāqat banī hai
maiñ us kī tilmilāhaT dekhtā huuñ
kisī ne baat jab jhūTī kahī hai
use mahsūs kartā huuñ maiñ jitnā
vo us se aur bhī gahrī milī hai
bharosa jaise jaise baḌh rahā hai
ka.ī partoñ meñ vo khulne lagī hai
chamak chehre pe us ke lauT aa.ī
koī ummīd kī lau jal uThī hai
subah se raat tak ghar mein baTi hai
zara sa chheD do to hans paDi hai
koi ehsas jab kandha chhue to
KHushi se agle hi pal ro paDi hai
koi mushkil mein ho aage dukhi hai
ki us ke hath mein jadu-chhaDi hai
bahut roti hai par tanhai mein
sabhi rishton ki wo taqat bani hai
main us ki tilmilahaT dekhta hun
kisi ne baat jab jhuTi kahi hai
use mahsus karta hun main jitna
wo us se aur bhi gahri mili hai
bharosa jaise jaise baDh raha hai
kai parton mein wo khulne lagi hai
chamak chehre pe us ke lauT aai
koi ummid ki lau jal uThi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.