subh bhi hoti rahi mahtab bhi Dhalta raha
sub.h bhī hotī rahī mahtāb bhī Dhaltā rahā
zindagī kā kārvāñ chaltā rahā chaltā rahā
sāneha kyā us pe guzrā kaun uTh kar dekhtā
ahl-e-ḳhāna so ga.e lekin diyā jaltā rahā
mere ḳhvāboñ kī koī buniyād bhī thī kyā kahūñ
barf kā parbat thā ik galtā rahā galtā rahā
āḳhirī vaqt aa gayā to sochtā huuñ dosto
aaj kā jo mas.ala thā kal pe kyuuñ Taltā rahā
sāmne ke dushmanoñ se bach ke rahnā sahl thā
āstīñ kā saañp thā baḌhtā rahā paltā rahā
hādse kī vo kahānī muḳhtasar sī hai 'shakīl'
bāñsurī bhī baj rahī thī shahr bhī jaltā rahā
subh bhi hoti rahi mahtab bhi Dhalta raha
zindagi ka karwan chalta raha chalta raha
saneha kya us pe guzra kaun uTh kar dekhta
ahl-e-KHana so gae lekin diya jalta raha
mere KHwabon ki koi buniyaad bhi thi kya kahun
barf ka parbat tha ek galta raha galta raha
aaKHiri waqt aa gaya to sochta hun dosto
aaj ka jo masala tha kal pe kyun Talta raha
samne ke dushmanon se bach ke rahna sahl tha
aastin ka sanp tha baDhta raha palta raha
hadse ki wo kahani muKHtasar si hai 'shakil'
bansuri bhi baj rahi thi shahr bhi jalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.