subh-dam kaun ye nindon se jaga deta hai
sub.h-dam kaun ye nīñdoñ se jagā detā hai
raat ko lorī sunātā hai sulā detā hai
baat badle kī yahāñ tak use le aa.ī hai
vo mirī yaad ko suulī pe chaḌhā detā hai
us kī niyyat meñ hai kyā vo to ḳhudā hī jaane
merā dushman mujhe jiine kī duā detā hai
jāda-e-ishq meñ darkār hai iḳhlās-e-amal
zarra-zarra jahāñ paiġhām-e-vafā detā hai
abr kā TukḌā hī sar par mire vo bhijvātā
reg-zāroñ meñ jo sabze ko ugā detā hai
mashġhalā us kā abhī tak hai vahī sunte haiñ
ret pe likh ke mirā naam miTā detā hai
ham samajhte haiñ kamī-beshī tavajjoh kī tirī
kaun hai dard baḌhātā hai ghaTā detā hai
hasb-e-taufīq amal bhī hai zarūrī 'najmī'
kāmyābī to ba-har-hāl ḳhudā detā hai
subh-dam kaun ye nindon se jaga deta hai
raat ko lori sunata hai sula deta hai
baat badle ki yahan tak use le aai hai
wo meri yaad ko suli pe chaDha deta hai
us ki niyyat mein hai kya wo to KHuda hi jaane
mera dushman mujhe jine ki dua deta hai
jada-e-ishq mein darkar hai iKHlas-e-amal
zarra-zarra jahan paigham-e-wafa deta hai
abr ka TukDa hi sar par mere wo bhijwata
reg-zaron mein jo sabze ko uga deta hai
mashghala us ka abhi tak hai wahi sunte hain
ret pe likh ke mera nam miTa deta hai
hum samajhte hain kami-beshi tawajjoh ki teri
kaun hai dard baDhata hai ghaTa deta hai
hasb-e-taufiq amal bhi hai zaruri 'najmi'
kaamyabi to ba-har-haal KHuda deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.