subh-e-azal se sham-e-abad tak aana jaana hota hai
sub.h-e-azal se shām-e-abad tak aanā jaanā hotā hai
manzil tak jaane kā rasta kis ne paanā hotā hai
maiñ ik aurat huuñ ghar bhar kī zimmedārī hai merī
mardoñ ko to kaam baḌe haiñ chāñd pe jaanā hotā hai
merī baarī meñ hī qismat kyoñ kartī hai man-mānī
hone ko to jo hotā hai ek bahāna hotā hai
lailā aur majnūñ ke qisse tere mere qisse haiñ
ek hamesha mar jaatā hai ek dīvāna hotā hai
aaj hamāre bachche ham ko log purāne kahte haiñ
in ko kyā mālūm ki har dastūr purānā hotā hai
subh-e-azal se sham-e-abad tak aana jaana hota hai
manzil tak jaane ka rasta kis ne pana hota hai
main ek aurat hun ghar bhar ki zimmedari hai meri
mardon ko to kaam baDe hain chand pe jaana hota hai
meri bari mein hi qismat kyon karti hai man-mani
hone ko to jo hota hai ek bahana hota hai
laila aur majnun ke qisse tere mere qisse hain
ek hamesha mar jata hai ek diwana hota hai
aaj hamare bachche hum ko log purane kahte hain
in ko kya malum ki har dastur purana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.