subh-e-qayamat jaan se guzarne lagti hai
sub.h-e-qayāmat jaañ se guzarne lagtī hai
tez chalūñ to saañs bikharne lagtī hai
shahr-e-jāñ meñ ishq kī sham.eñ bujhte hī
qatra qatra raat utarne lagtī hai
kabhī kabhī ye zaḳhm khilātī purvā.ī
rañg mirī tasvīr meñ bharne lagtī hai
raat kī āñkheñ bujhte bujhte mahfil meñ
parvānoñ kī ḳhaak bikharne lagtī hai
izn-e-huzūrī us dar se mil jaa.e agar
patthar pe tasvīr ubharne lagtī hai
itnī ḳhush-nazarī bhī 'sāġhar' Thiik nahīñ
aañkh kabhī ta.abīr se Darne lagtī hai
subh-e-qayamat jaan se guzarne lagti hai
tez chalun to sans bikharne lagti hai
shahr-e-jaan mein ishq ki shamen bujhte hi
qatra qatra raat utarne lagti hai
kabhi kabhi ye zaKHm khilati purwai
rang meri taswir mein bharne lagti hai
raat ki aankhen bujhte bujhte mahfil mein
parwanon ki KHak bikharne lagti hai
izn-e-huzuri us dar se mil jae agar
patthar pe taswir ubharne lagti hai
itni KHush-nazari bhi 'saghar' Thik nahin
aankh kabhi tabir se Darne lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.