subh-e-tarab to mast-o-ghazal-KHwan guzar gai
sub.h-e-tarab to mast-o-ġhazal-ḳhvāñ guzar ga.ī
shām-e-alam jo aa.ī to aa kar Thahar ga.ī
dekhā kisī ne auj-e-tasavvur na auj-e-fan
pinhāñ thā dāġh-e-aib to sab kī nazar ga.ī
yād-e-ḳhudā se bāb-e-haram tak khulā nahīñ
yād-e-butāñ se dil pe qayāmat guzar ga.ī
taḌpā qafas meñ kaun jo ai sub.h-e-nau-bahār
rū-e-gul-o-giyāh sabā chashm-tar ga.ī
itnā dil-e-'na.īm' ko vīrāñ na kar hijāz
ro.egī mauj-e-gañg jo us tak ḳhabar ga.ī
subh-e-tarab to mast-o-ghazal-KHwan guzar gai
sham-e-alam jo aai to aa kar Thahar gai
dekha kisi ne auj-e-tasawwur na auj-e-fan
pinhan tha dagh-e-aib to sab ki nazar gai
yaad-e-KHuda se bab-e-haram tak khula nahin
yaad-e-butan se dil pe qayamat guzar gai
taDpa qafas mein kaun jo ai subh-e-nau-bahaar
ru-e-gul-o-giyah saba chashm-tar gai
itna dil-e-'naim' ko viran na kar hijaz
roegi mauj-e-gang jo us tak KHabar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.