subh-e-wafa se hijr ka lamha juda karo
sub.h-e-vafā se hijr kā lamha judā karo
manzil se gard, gard se rasta judā karo
ik naqsh ho na paa.e idhar se udhar mirā
jaisā tumheñ milā thā maiñ vaisā judā karo
shab-zād-gāñ! tum ahl-e-ḳhabar se nahīñ so tum!
apnā madār apnā madīna judā karo
yaañ pai-ba-pai jo ḳhvāb khule nai-ba-nai khule
jitnā judā ye ho sake utnā judā karo
maiñ thā ki apne-āp meñ ḳhālī sā ho gayā
us ne to kah diyā mirā hissa judā karo
subh-e-wafa se hijr ka lamha juda karo
manzil se gard, gard se rasta juda karo
ek naqsh ho na pae idhar se udhar mera
jaisa tumhein mila tha main waisa juda karo
shab-zad-gan! tum ahl-e-KHabar se nahin so tum!
apna madar apna madina juda karo
yan pai-ba-pai jo KHwab khule nai-ba-nai khule
jitna juda ye ho sake utna juda karo
main tha ki apne-ap mein KHali sa ho gaya
us ne to kah diya mera hissa juda karo
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.