subh ka dhoka hua hai sham par
sub.h kā dhokā huā hai shaam par
chāñd ko dekhā achānak baam par
juz mire sūraj parinde aadmī
sab nikal jaate haiñ apne kaam par
bāryābī ke liye jaa.eñ magar
dil ThiThak jaatā hai pahle gaam par
par lage ḳhushbū ko tere zikr se
muskurā.e phuul tere naam par
be-zarūrat ghar se nikleñ aur phir
shai ḳharīdeñ koī mahñge daam par
ḳhāmushī achchhī hai lekin is qadar
kuchh to boleñ aap is kohrām par
ai junūñ ye jī meñ aatā hai kabhī
vaqf kar deñ ḳhud ko tere naam par
aañkh meñ 'fārūq' aañsū aa ga.e
kyā fasāna aa gayā anjām par
subh ka dhoka hua hai sham par
chand ko dekha achanak baam par
juz mere suraj parinde aadmi
sab nikal jate hain apne kaam par
baryabi ke liye jaen magar
dil ThiThak jata hai pahle gam par
par lage KHushbu ko tere zikr se
muskurae phul tere nam par
be-zarurat ghar se niklen aur phir
shai KHariden koi mahnge dam par
KHamushi achchhi hai lekin is qadar
kuchh to bolen aap is kohram par
ai junun ye ji mein aata hai kabhi
waqf kar den KHud ko tere nam par
aankh mein 'faruq' aansu aa gae
kya fasana aa gaya anjam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.