subh kanTon pe sham kanTon par
sub.h kāñToñ pe shaam kāñToñ par
umr guzrī tamām kāñToñ par
mire apne qalam ne chupke se
likh diyā merā naam kāñToñ par
terī kirneñ bhī raqs kartī haiñ
roz māh-e-tamām kāñToñ par
rang aur bū-e-gul ke āshiq sab
kaun bheje salām kāñToñ par
roz shabnam se ġhusl karte haiñ
hai guloñ kā hamām kāñToñ par
ibtidā-e-hayāt phūloñ se
aur hai iḳhtitām kāñToñ par
aisī mastī ki titliyāñ bhauñre
ho ga.e ham-kalām kāñToñ par
husn kī har adā guloñ par hai
ishq kā ehtishām kāñToñ par
shāḳh-e-gul par qafas hai 'panchhī' kā
aur shīrīñ ta.aam kāñToñ par
subh kanTon pe sham kanTon par
umr guzri tamam kanTon par
mere apne qalam ne chupke se
likh diya mera nam kanTon par
teri kirnen bhi raqs karti hain
roz mah-e-tamam kanTon par
rang aur bu-e-gul ke aashiq sab
kaun bheje salam kanTon par
roz shabnam se ghusl karte hain
hai gulon ka hamam kanTon par
ibtida-e-hayat phulon se
aur hai iKHtitam kanTon par
aisi masti ki titliyan bhaunre
ho gae ham-kalam kanTon par
husn ki har ada gulon par hai
ishq ka ehtisham kanTon par
shaKH-e-gul par qafas hai 'panchhi' ka
aur shirin taam kanTon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.