subh karenge hushyari se
sub.h kareñge hushyārī se
ro.eñge sab baarī baarī se
aur bhī us ko pā sakte the
thoḌī aur adākārī se
phir ik gul ne kiyā ishāra
abhī uThe the bīmārī se
hañstā huuñ be-bāt bhī lekin
rotā huuñ zimmedārī se
kar sakte ho koī himāqat
lekin puurī tayyārī se
donoñ ko mil ga.e bahāne
apnī apnī lāchārī se
subh karenge hushyari se
roenge sab bari bari se
aur bhi us ko pa sakte the
thoDi aur adakari se
phir ek gul ne kiya ishaara
abhi uThe the bimari se
hansta hun be-baat bhi lekin
rota hun zimmedari se
kar sakte ho koi himaqat
lekin puri tayyari se
donon ko mil gae bahane
apni apni lachaari se
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 90)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.