subh kis ki hai sham kis ki hai
sub.h kis kī hai shaam kis kī hai
zindagī zer-e-dām kis kī hai
chāñd taare haiñ jis ke dīvāne
vo shabīh-e-davām kis kī hai
kaun aaya hai dil kī jannat meñ
ye sabā-e-ḳhirām kis kī hai
donoñ aalam meñ kis ke charche haiñ
hasrat-e-nā-tamām kis kī hai
shahr-dar-shahr ḳhuuñ meñ Duube haiñ
zindagī sabz-gām kis kī hai
kaun sochegā dil kā mustaqbil
niiñd āḳhir harām kis kī hai
vo to uglegā aag jiite jī
us ke muñh meñ lagām kis kī hai
subh kis ki hai sham kis ki hai
zindagi zer-e-dam kis ki hai
chand tare hain jis ke diwane
wo shabih-e-dawam kis ki hai
kaun aaya hai dil ki jannat mein
ye saba-e-KHiram kis ki hai
donon aalam mein kis ke charche hain
hasrat-e-na-tamam kis ki hai
shahr-dar-shahr KHun mein Dube hain
zindagi sabz-gam kis ki hai
kaun sochega dil ka mustaqbil
nind aaKHir haram kis ki hai
wo to uglega aag jite ji
us ke munh mein lagam kis ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.