subh kuchh sham kuchh KHayal raha
sub.h kuchh shaam kuchh ḳhayāl rahā
ye mohabbat meñ apnā haal rahā
january meñ kabhī december meñ
zikr terā tamām saal rahā
maiñ tujhe aaj bhī nahīñ samjhā
tū mire vāste savāl rahā
maiñ ki āñkhoñ se haath dho baiThā
tū ki chehre ko hai sambhāl rahā
subh kuchh sham kuchh KHayal raha
ye mohabbat mein apna haal raha
january mein kabhi december mein
zikr tera tamam sal raha
main tujhe aaj bhi nahin samjha
tu mere waste sawal raha
main ki aankhon se hath dho baiTha
tu ki chehre ko hai sambhaal raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.