subh miTTi hai sham hai miTTi
sub.h miTTī hai shaam hai miTTī
ya.anī apnā maqām hai miTTī
kis jagah par karūñ baserā maiñ
jo bhī hai vo qayām hai miTTī
dā.imī kuchh nahīñ hai rahne ko
jis ko dekho davām hai miTTī
ab to aa aur tū sambhāl use
dekh le ye ġhulām hai miTTī
laġhzish-e-zindagī se ilm huā
maut kā hī payām hai miTTī
maiñ ne dafnā diyā hai ḳhvāhish ko
kyūñki ḳhvāhish kā naam hai miTTī
miTTī hai be-zabāñ magar 'tanhā'
be-zabāñ kā kalām hai miTTī
subh miTTi hai sham hai miTTi
yani apna maqam hai miTTi
kis jagah par karun basera main
jo bhi hai wo qayam hai miTTi
daimi kuchh nahin hai rahne ko
jis ko dekho dawam hai miTTi
ab to aa aur tu sambhaal use
dekh le ye ghulam hai miTTi
laghzish-e-zindagi se ilm hua
maut ka hi payam hai miTTi
main ne dafna diya hai KHwahish ko
kyunki KHwahish ka nam hai miTTi
miTTi hai be-zaban magar 'tanha'
be-zaban ka kalam hai miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.