subh se aur miyan sham se kya milta hai
sub.h se aur miyāñ shaam se kyā miltā hai
ye hai duniyā yahāñ ārām se kyā miltā hai
tū kisī shahr kā mālik hai to hogā mirī jaan
ye batā mujh ko tire naam se kyā miltā hai
jab ġhalat kaam karegā tabhī shohrat hogī
terī bastī meñ sahī kaam se kyā miltā hai
saath chal jaam uThā muñh se lagā pī to sahī
mujh se kyā pūchhtā hai jaam se kyā miltā hai
chand sikkoñ ke evaz jism milā karte haiñ
aur is shahr meñ kam daam se kyā miltā hai
vasl se miltā hai jo miltā hai dīvāne ko
ai ḳhudā hijr ke ayyām se kyā miltā hai
subh se aur miyan sham se kya milta hai
ye hai duniya yahan aaram se kya milta hai
tu kisi shahr ka malik hai to hoga meri jaan
ye bata mujh ko tere nam se kya milta hai
jab ghalat kaam karega tabhi shohrat hogi
teri basti mein sahi kaam se kya milta hai
sath chal jam uTha munh se laga pi to sahi
mujh se kya puchhta hai jam se kya milta hai
chand sikkon ke ewaz jism mila karte hain
aur is shahr mein kam dam se kya milta hai
wasl se milta hai jo milta hai diwane ko
ai KHuda hijr ke ayyam se kya milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.