subh se ghabra gae hum sham se ghabra gae
sub.h se ghabrā ga.e ham shaam se ghabrā ga.e
roz kī is gardish-e-ayyām se ghabrā ga.e
kaash aa jaa.eñ palaT kar din tire āġhāz ke
ai mohabbat ham tire anjām se ghabrā ga.e
be-qarārī kī mohabbat meñ bhī had hotī hai kuchh
ham to apne is dil-e-nākām se ghabrā ga.e
kab talak anjām deñ ye ḳhidmat-e-āh-o-fuġhāñ
ham to ab ai ishq tere naam se ghabrā ga.e
vo to iz.hār-e-mohabbat kī thī 'shabnam' ik adā
vo mirī nazroñ hī ke paiġhām se ghabrā ga.e
subh se ghabra gae hum sham se ghabra gae
roz ki is gardish-e-ayyam se ghabra gae
kash aa jaen palaT kar din tere aaghaz ke
ai mohabbat hum tere anjam se ghabra gae
be-qarari ki mohabbat mein bhi had hoti hai kuchh
hum to apne is dil-e-nakaam se ghabra gae
kab talak anjam den ye KHidmat-e-ah-o-fughan
hum to ab ai ishq tere nam se ghabra gae
wo to izhaar-e-mohabbat ki thi 'shabnam' ek ada
wo meri nazron hi ke paigham se ghabra gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.