subh talak aflak pe ek kaifiyyat tari karta hun
sub.h talak aflāk pe ik kaifiyyat taarī kartā huuñ
chāñd ko apnī nazm sunā kar shab-bedārī kartā huuñ
chaukīdār huuñ lekin merā lambā-chauḌā kaam nahīñ
ek hī phuul hai baaġh meñ jis kī pahre-dārī kartā huuñ
ghar se nikal aatā huuñ aksar subah ke taḌke vahshat meñ
jhiil meñ patthar pheñk ke din-bhar vaqt-guzārī kartā huuñ
raat guzar jaatī hai merī hijr kā dukh nimTāne meñ
zaḳhm-shumārī ho jaa.e to najm-shumārī kartā huuñ
ḳhuun se khīñch ke ashk ko apne laatā huuñ in āñkhoñ tak
kitnī mushkil se maiñ ḳhud par riqqat taarī kartā huuñ
tum ko samajh meñ aa jaa.e to samjho sher mukammal hai
TūTe-phūTe lafzoñ meñ bas baat tumhārī kartā huuñ
lafzoñ ko tartīb meñ rakh kar paḌhtā huuñ har mahfil meñ
lahje kī imdād se maiñ āvāz ko bhārī kartā huuñ
roz birājnā hotā hai ik nayā singhāsan mujh ko 'zeb'
roz ke roz isī dhārā ke sikke jaarī kartā huuñ
subh talak aflak pe ek kaifiyyat tari karta hun
chand ko apni nazm suna kar shab-bedari karta hun
chaukidar hun lekin mera lamba-chauDa kaam nahin
ek hi phul hai bagh mein jis ki pahre-dari karta hun
ghar se nikal aata hun aksar subah ke taDke wahshat mein
jhil mein patthar phenk ke din-bhar waqt-guzari karta hun
raat guzar jati hai meri hijr ka dukh nimTane mein
zaKHm-shumari ho jae to najm-shumari karta hun
KHun se khinch ke ashk ko apne lata hun in aankhon tak
kitni mushkil se main KHud par riqqat tari karta hun
tum ko samajh mein aa jae to samjho sher mukammal hai
TuTe-phuTe lafzon mein bas baat tumhaari karta hun
lafzon ko tartib mein rakh kar paDhta hun har mahfil mein
lahje ki imdad se main aawaz ko bhaari karta hun
roz birajna hota hai ek naya singhasan mujh ko 'zeb'
roz ke roz isi dhaara ke sikke jari karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.