subut apni mohabbat ka use dena zaruri tha
subut apni mohabbat ka use dena zaruri tha
Mohammad Abid Ali Abid
MORE BYMohammad Abid Ali Abid
subūt apnī mohabbat kā use denā zarūrī thā
uḌānā ḳhaak karnā chaak dāman kā shu.ūrī thā
sharār-e-sañg se hasb-e-zarūrat aag raushan kī
ye ḳhākī apnī fitrat meñ na naarī thāna nuurī thā
kanār-e-rāh jo ashjār the saa.e kī ḳhātir the
batānā kaam sañg-e-mīl kā manzil se duurī thā
sitam Dhānā mukarnā aur mujhe ḳhāmosh kar denā
mohabbat meñ ravayya us kā chorī sīna-zorī thā
ḳhudā-hāfiz ki aane ko hai apnī manzil-e-maqsūd
qayām apnā jahāñ meñ mustaqil kab thā ubūrī thā
subut apni mohabbat ka use dena zaruri tha
uDana KHak karna chaak daman ka shuuri tha
sharar-e-sang se hasb-e-zarurat aag raushan ki
ye KHaki apni fitrat mein na nari thana nuri tha
kanar-e-rah jo ashjar the sae ki KHatir the
batana kaam sang-e-mil ka manzil se duri tha
sitam Dhana mukarna aur mujhe KHamosh kar dena
mohabbat mein rawayya us ka chori sina-zori tha
KHuda-hafiz ki aane ko hai apni manzil-e-maqsud
qayam apna jahan mein mustaqil kab tha uburi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.