subūt-e-pārsā.ī de rahā hai
dil aise kab duhā.ī de rahā hai
tirī āñkheñ jahāñ tak boltī haiñ
mujhe rasta sujhā.ī de rahā hai
yahāñ se to nazar aatā nahīñ kuchh
vahāñ se kuchh dikhā.ī de rahā hai
tire alfāz meñ hai istiġhāsa
tirā lahja safā.ī de rahā hai
nahīñ sahrā talak ye shor pahuñchā
samundar ko sunā.ī de rahā hai
subut-e-parsai de raha hai
dil aise kab duhai de raha hai
teri aankhen jahan tak bolti hain
mujhe rasta sujhai de raha hai
yahan se to nazar aata nahin kuchh
wahan se kuchh dikhai de raha hai
tere alfaz mein hai istighasa
tera lahja safai de raha hai
nahin sahra talak ye shor pahuncha
samundar ko sunai de raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.