suKHan mein jo rawani ho gai hai
suḳhan meñ jo ravānī ho ga.ī hai
ḳhudā kī mehrbānī ho ga.ī hai
jo tere vāste likhī ga.ī thī
vahī merī kahānī ho ga.ī hai
nayā ilzām rakh do aadmī par
ye duniyā ab purānī ho ga.ī hai
tirā mausam jo aayā hai nazar meñ
ġhazal kitnī suhānī ho ga.ī hai
tirī āñkhoñ meñ Dhaltī muskurāhaT
hamārī zindagānī ho ga.ī hai
kahāñ kā dil kahāñ kā hai fasāna
mohabbat ānī-jānī ho ga.ī hai
nahīñ likhegī 'nīlam' naam un kā
vo ab qadre siyānī ho ga.ī hai
suKHan mein jo rawani ho gai hai
KHuda ki mehrbani ho gai hai
jo tere waste likhi gai thi
wahi meri kahani ho gai hai
naya ilzam rakh do aadmi par
ye duniya ab purani ho gai hai
tera mausam jo aaya hai nazar mein
ghazal kitni suhani ho gai hai
teri aankhon mein Dhalti muskurahaT
hamari zindagani ho gai hai
kahan ka dil kahan ka hai fasana
mohabbat aani-jaani ho gai hai
nahin likhegi 'nilam' nam un ka
wo ab qadre siyani ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.