suKHan suKHan ba-sarahat bayan samajhne lage
suKHan suKHan ba-sarahat bayan samajhne lage
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
suḳhan suḳhan ba-sarāhat bayāñ samajhne lage
mire harīf bhī merī zabāñ samajhne lage
havā vo bāñdhī mire qātiloñ ne qatl ke baad
sab us ko hādisa-e-nā-gahāñ samajhne lage
mizāj meñ usī din se dar aa.ī darveshī
ki jab se ma.ānī-e-umr-ravāñ samajhne lage
jahāñ muqīm ham āvār-gān-e-shauq hue
usī ko saltanat-e-bekarāñ samajhne lage
qanā.ateñ thiiñ ki majbūriyāñ nahīñ ma.alūm
qafas ko ahl-e-chaman āshiyāñ samajhne lage
suKHan suKHan ba-sarahat bayan samajhne lage
mere harif bhi meri zaban samajhne lage
hawa wo bandhi mere qatilon ne qatl ke baad
sab us ko hadisa-e-na-gahan samajhne lage
mizaj mein usi din se dar aai darweshi
ki jab se maani-e-umr-rawan samajhne lage
jahan muqim hum aawar-gan-e-shauq hue
usi ko saltanat-e-bekaran samajhne lage
qanaaten thin ki majburiyan nahin malum
qafas ko ahl-e-chaman aashiyan samajhne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.