sukun dil ko nazar ko meri qarar nahin
sukūn dil ko nazar ko mirī qarār nahīñ
ye ek marg-e-musalsal hai intizār nahīñ
kalī ke lab pe tabassum ko DhūñDne vaalo
barā.e-nām bhī gulshan meñ ab bahār nahīñ
hameñ pahuñchne se manzil pe kaun rokegā
hamārī raah meñ jab yaas kā ġhubār nahīñ
karo vo mashq ki hañste raho ḳhizāñ meñ bhī
gul-o-chaman meñ bahāroñ pe e.atibār nahīñ
ḳhudā bachā.e guloñ ko fareb-e-gulshan se
faqat bahār kā dhokā hai ye bahār nahīñ
qasam hai azmat-e-mai-ḳhāna-e-mohabbat kī
ghaTā hai jaam hai saaqī hai bāda-ḳhvār nahīñ
'nishāt' piine pilāne kī aarzū be-kār
uThā na jaam abhī mausam-e-bahār nahīñ
sukun dil ko nazar ko meri qarar nahin
ye ek marg-e-musalsal hai intizar nahin
kali ke lab pe tabassum ko DhunDne walo
barae-nam bhi gulshan mein ab bahaar nahin
hamein pahunchne se manzil pe kaun rokega
hamari rah mein jab yas ka ghubar nahin
karo wo mashq ki hanste raho KHizan mein bhi
gul-o-chaman mein bahaaron pe eatibar nahin
KHuda bachae gulon ko fareb-e-gulshan se
faqat bahaar ka dhoka hai ye bahaar nahin
qasam hai azmat-e-mai-KHana-e-mohabbat ki
ghaTa hai jam hai saqi hai baada-KHwar nahin
'nishat' pine pilane ki aarzu be-kar
uTha na jam abhi mausam-e-bahaar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.