sukun-e-dil ho magar tum bacha sake na mujhe
sukūn-e-dil ho magar tum bachā sake na mujhe
dalīl-e-dard-e-jigar tum bachā sake na mujhe
tumhī safīna tumhī nā-ḳhudā tumhī sāhil
maiñ Dūbtā huuñ magar tum bachā sake na mujhe
kisī ke dast-e-shifā kaise mere kaam aa.eñ
mire tabīb agar tum bachā sake na mujhe
huuñ shab-gazīda ġham-e-dil bichhaḌ ga.e tum bhī
mire sharīk-e-safar tum bachā sake na mujhe
lage haiñ dil pe mire chārasāz tīr-e-balā
tumhī the sīna-sipar tum bachā sake na mujhe
koī na dekh sakā hai mirā ye soz-e-darūñ
tumhī the ahl-e-nazar tum bachā sake na mujhe
parā.ī aag meñ andar se jal rahā huuñ maiñ
mire chinār-shajar tum bachā sake na mujhe
sukun-e-dil ho magar tum bacha sake na mujhe
dalil-e-dard-e-jigar tum bacha sake na mujhe
tumhi safina tumhi na-KHuda tumhi sahil
main Dubta hun magar tum bacha sake na mujhe
kisi ke dast-e-shifa kaise mere kaam aaen
mere tabib agar tum bacha sake na mujhe
hun shab-gazida gham-e-dil bichhaD gae tum bhi
mere sharik-e-safar tum bacha sake na mujhe
lage hain dil pe mere chaarasaz tir-e-bala
tumhi the sina-sipar tum bacha sake na mujhe
koi na dekh saka hai mera ye soz-e-darun
tumhi the ahl-e-nazar tum bacha sake na mujhe
parai aag mein andar se jal raha hun main
mere chinar-shajar tum bacha sake na mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.