sukūn-e-dil jo mayassar ho zindagī ke liye
bahut hai itnā bhī jiine ko aadmī ke liye
hai zarre zarre kī tanvīr dāvat-e-she.rī
ye kā.enāt hai goyā ki shā.irī ke liye
qusūr apnā thā dil kī lagī samajh baiThe
dil us ne sirf lagāyā thā dil-lagī ke liye
ḳhushī kā auroñ kī bhī har-nafas ḳhayāl rahe
jiye bhī kyā jiye gar apnī hī ḳhushī ke liye
tamām bazm usī sham.a se munavvar hai
taras rahī hai jo ḳhud apnī raushnī ke liye
'nazar' na hotī jo takmīl-e-āshiqī maqsūd
to haath baḌhtā na phir us kī dostī ke liye
sukun-e-dil jo mayassar ho zindagi ke liye
bahut hai itna bhi jine ko aadmi ke liye
hai zarre zarre ki tanwir dawat-e-sheri
ye kaenat hai goya ki shairi ke liye
qusur apna tha dil ki lagi samajh baiThe
dil us ne sirf lagaya tha dil-lagi ke liye
KHushi ka auron ki bhi har-nafas KHayal rahe
jiye bhi kya jiye gar apni hi KHushi ke liye
tamam bazm usi shama se munawwar hai
taras rahi hai jo KHud apni raushni ke liye
'nazar' na hoti jo takmil-e-ashiqi maqsud
to hath baDhta na phir us ki dosti ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.