sukun-e-dil ki KHatir ek sahaara DhunDte hain
sukūn-e-dil kī ḳhātir ik sahārā DhūñDte haiñ
jo gardish meñ nahīñ hai vo sitārā DhūñDte haiñ
abhī to tujh se vābasta haiñ pichhle zaḳhm saare
shab-e-rafta tujhe ham kyuuñ dobārā DhūñDte haiñ
koī ghar hī nahīñ to be-gharī kā zaḳhm kaisā
sukūnat ke liye ik isti.ārā DhūñDte haiñ
zamīñ achchhī lagī hai āsmāñ par jā ke ham ko
kahāñ hai is zamīñ par ghar hamārā DhūñDte haiñ
ye dariyā zindagī kā paar kaise ho ki jab ham
kināre par khaḌe haiñ aur kināra DhūñDte haiñ
hamārī ḳhvāhish-e-be-ḳhvāhishī jo raakh kar de
ham apnī shaḳhsiyat meñ vo sharāra DhūñDte haiñ
kisī mahtāb ko qadmoñ meñ le aane se pahle
ham un āñkhoñ kā halkā sā ishāra DhūñDte haiñ
sukun-e-dil ki KHatir ek sahaara DhunDte hain
jo gardish mein nahin hai wo sitara DhunDte hain
abhi to tujh se wabasta hain pichhle zaKHm sare
shab-e-rafta tujhe hum kyun dobara DhunDte hain
koi ghar hi nahin to be-ghari ka zaKHm kaisa
sukunat ke liye ek istiara DhunDte hain
zamin achchhi lagi hai aasman par ja ke hum ko
kahan hai is zamin par ghar hamara DhunDte hain
ye dariya zindagi ka par kaise ho ki jab hum
kinare par khaDe hain aur kinara DhunDte hain
hamari KHwahish-e-be-KHwahishi jo rakh kar de
hum apni shaKHsiyat mein wo sharara DhunDte hain
kisi mahtab ko qadmon mein le aane se pahle
hum un aankhon ka halka sa ishaara DhunDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.