sukun-e-qalb hai dhaDkan ki intiha hai ghazal
sukūn-e-qalb hai dhaḌkan kī intihā hai ġhazal
vaqār-e-zīst hai sāñsoñ kā silsila hai ġhazal
kalī kī nāzukī phūloñ kī har adā hai ġhazal
dulhan kī sharm-o-hayā surḳhī-e-hinā hai ġhazal
zamāne bhar kī to har shai se āshnā hai ġhazal
tamām lafz tire dil kā aa.ina hai ġhazal
kabhī machalte laboñ kī sī nāzukī to kabhī
dahaktī ret pe Thahrī huī navā hai ġhazal
na.ī hayāt ke pahlū ko dastakeñ detī
libās-e-rūh meñ utrī huī sadā hai ġhazal
añdherī raat meñ ummīd kī kiran jaisī
kisī ġharīb kī ḳhushiyoñ kī ibtidā hai ġhazal
nigār-e-husn hai ye husn-e-kā.enāt bhī hai
isī liye to hamesha se ḳhushnumā hai ġhazal
dupaTTā khīñch liyā us kā jis ne jab chāhā
suḳhan kī laaj hai phir bhī to be-ridā hai ġhazal
'zahīn' is kā asar be-asar nahīñ hotā
kisī faqīr kī māñgī huī duā hai ġhazal
sukun-e-qalb hai dhaDkan ki intiha hai ghazal
waqar-e-zist hai sanson ka silsila hai ghazal
kali ki nazuki phulon ki har ada hai ghazal
dulhan ki sharm-o-haya surKHi-e-hina hai ghazal
zamane bhar ki to har shai se aashna hai ghazal
tamam lafz tere dil ka aaina hai ghazal
kabhi machalte labon ki si nazuki to kabhi
dahakti ret pe Thahri hui nawa hai ghazal
nai hayat ke pahlu ko dastaken deti
libas-e-ruh mein utri hui sada hai ghazal
andheri raat mein ummid ki kiran jaisi
kisi gharib ki KHushiyon ki ibtida hai ghazal
nigar-e-husn hai ye husn-e-kaenat bhi hai
isi liye to hamesha se KHushnuma hai ghazal
dupaTTa khinch liya us ka jis ne jab chaha
suKHan ki laj hai phir bhi to be-rida hai ghazal
'zahin' is ka asar be-asar nahin hota
kisi faqir ki mangi hui dua hai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.