sukun luTta rahega faza hi aisi hai
sukūn luTtā rahegā fazā hī aisī hai
hamāre shahr kī āb-o-havā hī aisī hai
kabhī na aa.egī hoñToñ par ab hañsī kī tarah
vo ek baat ki jis kī adā hī aisī hai
dahaktī dhuup meñ sāvan kī tarah rahtā huuñ
mire buzurg ke lab kī duā hī aisī hai
kisī ke husn-e-samā.at pe Thes kyoñ na lage
kisī ke hoñToñ pe ab ke sadā hī aisī hai
sulagtī aag meñ shabnam kī kaifiyat pā.ūñ
mire gunāh kī yaaro sazā hī aisī hai
sukun luTta rahega faza hi aisi hai
hamare shahr ki aab-o-hawa hi aisi hai
kabhi na aaegi honTon par ab hansi ki tarah
wo ek baat ki jis ki ada hi aisi hai
dahakti dhup mein sawan ki tarah rahta hun
mere buzurg ke lab ki dua hi aisi hai
kisi ke husn-e-samaat pe Thes kyon na lage
kisi ke honTon pe ab ke sada hi aisi hai
sulagti aag mein shabnam ki kaifiyat paun
mere gunah ki yaro saza hi aisi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.