sukun milta hai jab uljhi baat khulti hai
sukūn miltā hai jab uljhī baat khultī hai
magar kabhī kabhī lafzoñ kī zaat khultī hai
phir is ke baa'd vo ḳhāmosh rahne lagtā hai
kisī bhī shaḳhs pe jab kā.enāt khultī hai
tumheñ ye 'ishq bichhaḌ kar samajh meñ aa.egā
charāġh bujhte haiñ tab jā ke raat khultī hai
hamīñ ne paañv meñ Daalī huī haiñ zanjīreñ
vagarna roz hī rāh-e-najāt khultī hai
kisī buzurg kī chaukhaT kisī badan kī qabā
ye baat sach hai du'āoñ ke saath khultī hai
sukun milta hai jab uljhi baat khulti hai
magar kabhi kabhi lafzon ki zat khulti hai
phir is ke ba'd wo KHamosh rahne lagta hai
kisi bhi shaKHs pe jab kaenat khulti hai
tumhein ye 'ishq bichhaD kar samajh mein aaega
charagh bujhte hain tab ja ke raat khulti hai
hamin ne panw mein Dali hui hain zanjiren
wagarna roz hi rah-e-najat khulti hai
kisi buzurg ki chaukhaT kisi badan ki qaba
ye baat sach hai du'aon ke sath khulti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.