sukun nasib hua aur na kuchh qarar mujhe
sukūñ nasīb huā aur na kuchh qarār mujhe
ḳhizāñ hī lagtā hai ye mausam-e-bahār mujhe
vo aa.eñ bazm-e-tasavvur meñ bas ye kaafī hai
qasam ḳhudā kī yahī hai visāl-e-yār mujhe
ye be-ḳhudī bhī mohabbat kī ik amānat hai
ḳhudā ke vāste kiije na hoshiyār mujhe
samajh sake na mire ġham ko aap bhī ab tak
yahī hai ġham jo rulātā hai zaar zaar mujhe
ye jāntā huuñ ki manzil qarīb hai lekin
dikhā.ī kuchh nahīñ detā ba-juz ġhubār mujhe
ġham-e-hayāt kī jaagī udaas rātoñ meñ
ye aarzū hai kabhī dil se tū pukār mujhe
kisī ke dil ko badal duuñ maiñ kis tarah 'sarvar'
jab apne dil pe nahīñ hai kuchh iḳhtiyār mujhe
sukun nasib hua aur na kuchh qarar mujhe
KHizan hi lagta hai ye mausam-e-bahaar mujhe
wo aaen bazm-e-tasawwur mein bas ye kafi hai
qasam KHuda ki yahi hai visal-e-yar mujhe
ye be-KHudi bhi mohabbat ki ek amanat hai
KHuda ke waste kije na hoshiyar mujhe
samajh sake na mere gham ko aap bhi ab tak
yahi hai gham jo rulata hai zar zar mujhe
ye jaanta hun ki manzil qarib hai lekin
dikhai kuchh nahin deta ba-juz ghubar mujhe
gham-e-hayat ki jagi udas raaton mein
ye aarzu hai kabhi dil se tu pukar mujhe
kisi ke dil ko badal dun main kis tarah 'sarwar'
jab apne dil pe nahin hai kuchh iKHtiyar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.