sukun-parwar hai jazbaati nahin hai
sukūñ-parvar hai jazbātī nahīñ hai
mirā hamdam ḳhurāfātī nahīñ hai
jo kartā thā charāġhāñ sab ke ghar meñ
usī ke ghar diyā-bātī nahīñ hai
mirā mahbūb hai mahbūb-e-kāmil
mirā mahbūb jazbātī nahīñ hai
ta.alluq rakh ke bhī hai be-ta.alluq
samajh meñ baat ye aatī nahīñ hai
jise raas aa ga.ī uzlat-nashīnī
tabī.at us kī ghabrātī nahīñ hai
pashemānī hai vo tere junūñ kī
mire ghar aa ke jo jaatī nahīñ hai
usī ġham meñ sadā rahtā huuñ hamdam
tirā jazba ināyātī nahīñ hai
mujhe 'ibrat' ḳhushī is baat kī hai
tirā maslak rivāyātī nahīñ hai
sukun-parwar hai jazbaati nahin hai
mera hamdam KHurafati nahin hai
jo karta tha charaghan sab ke ghar mein
usi ke ghar diya-baati nahin hai
mera mahbub hai mahbub-e-kaamil
mera mahbub jazbaati nahin hai
talluq rakh ke bhi hai be-talluq
samajh mein baat ye aati nahin hai
jise ras aa gai uzlat-nashini
tabiat us ki ghabraati nahin hai
pashemani hai wo tere junun ki
mere ghar aa ke jo jati nahin hai
usi gham mein sada rahta hun hamdam
tera jazba inayati nahin hai
mujhe 'ibrat' KHushi is baat ki hai
tera maslak riwayati nahin hai
- Book : Magz-e-Sukhan (Pg. 102)
- Author : Ibrat Bahraichi
- Publication : Dr. Ibrat Bahraichi (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.