Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun-parwar nigahon ke sahaare chhin leti hai

Mukesh Indori

sukun-parwar nigahon ke sahaare chhin leti hai

Mukesh Indori

MORE BYMukesh Indori

    sukūñ-parvar nigāhoñ ke sahāre chhīn letī hai

    sunāmī jab bhī aatī hai kināre chhīn letī hai

    hañsī bhī chhīn letī hai ḳhushī bhī chhīn jaatī hai

    bigaḌ jaatī hai qismat to sitāre chhīn letī hai

    musībat jab bhī aatī hai to aañsū le ke aatī hai

    laboñ se muskurāhaT ke nazāre chhīn letī hai

    koī hotā nahīñ hai pūchhne vaalā ye qismat to

    ġharīboñ meñ hamāre sab sahāre chhīn letī hai

    vidā.a ho kar chalī jaatī haiñ jab bhī beTiyāñ ghar se

    to phir maañ baap āñkhoñ ke taare chhīn letī hai

    pitā ko naaz thā jis par vahī aulād phir ik din

    yaqīñ bhī toḌ detī hai sahāre chhīn letī hai

    bahāreñ jab kabhī gulshan se apne ruuTh jaatī haiñ

    sabhī gulshan se vo rañgīñ nazāre chhīn letī hai

    muqaddar ko bigaḌte der lagtī nahīñ 'indorī'

    kisī bad-duā.eñ sab bahāreñ chhīn letī haiñ

    sukun-parwar nigahon ke sahaare chhin leti hai

    sunami jab bhi aati hai kinare chhin leti hai

    hansi bhi chhin leti hai KHushi bhi chhin jati hai

    bigaD jati hai qismat to sitare chhin leti hai

    musibat jab bhi aati hai to aansu le ke aati hai

    labon se muskurahaT ke nazare chhin leti hai

    koi hota nahin hai puchhne wala ye qismat to

    gharibon mein hamare sab sahaare chhin leti hai

    widaa ho kar chali jati hain jab bhi beTiyan ghar se

    to phir man bap ki aankhon ke tare chhin leti hai

    pita ko naz tha jis par wahi aulad phir ek din

    yaqin bhi toD deti hai sahaare chhin leti hai

    bahaaren jab kabhi gulshan se apne ruTh jati hain

    sabhi gulshan se wo rangin nazare chhin leti hai

    muqaddar ko bigaDte der lagti hi nahin 'indori'

    kisi ki bad-duaen sab bahaaren chhin leti hain

    Source :
    • Book : Scan File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now