sukun talash na kar aarzu ke diwane
sukūñ talāsh na kar aarzū ke dīvāne
jo zindagī ne diyā hai vo zindagī jaane
is ehtimām se aksar uThe haiñ paimāne
ki buuñd buuñd ko maiñ jānoñ yā ḳhudā jaane
dukhe hue dil-e-ādam meñ hai umiid kī dhuum
haiñ ek baat se paidā hazār afsāne
charāġh-e-rah se ġharaz hai na naqsh-e-pā kī talāsh
ye rah-ravī koī nā-karda-rāh kyā jaane
kidhar ko ruḳh kare yārab mirā mazāq-e-sujūd
ki aaj qibla-e-dil ka.aba hai na but-ḳhāne
maiñ intihā-e-masarrat ko zindagī kar duuñ
agar nizām-e-tamannā mirā kahā maane
sañbhal ai hosh zarā kal kī fikr kar saaqī
chhalak na jaa.eñ kahīñ bhar chuke haiñ paimāne
sukun talash na kar aarzu ke diwane
jo zindagi ne diya hai wo zindagi jaane
is ehtimam se aksar uThe hain paimane
ki bund bund ko main jaanon ya KHuda jaane
dukhe hue dil-e-adam mein hai umid ki dhum
hain ek baat se paida hazar afsane
charagh-e-rah se gharaz hai na naqsh-e-pa ki talash
ye rah-rawi koi na-karda-rah kya jaane
kidhar ko ruKH kare yarab mera mazaq-e-sujud
ki aaj qibla-e-dil kaba hai na but-KHane
main intiha-e-masarrat ko zindagi kar dun
agar nizam-e-tamanna mera kaha mane
sanbhal ai hosh zara kal ki fikr kar saqi
chhalak na jaen kahin bhar chuke hain paimane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.