sukun ye apne saweron ka chain rainon ka
sukūñ ye apne saveroñ kā chain rainoñ kā
koī hisāb nahīñ hai ḳhudā kī denoñ kā
makān kachche the va.ade the pakke dil raushan
zamāna thā vo charāġhoñ kā lālTenoñ kā
ye sach hai gaañv kī rāteñ ḳhāmosh hotī haiñ
magar vo shor guzartī huī trainoñ kā
gale kā haar salībeñ haiñ sab dikhāve kī
yahāñ rivāj hai ab to tilā.ī chainoñ kā
halāk hotī hai maḳhlūq aur ḳhudāoñ par
koī asar hī nahīñ shevanoñ kā bainoñ kā
vahāñ mushā.ere paḌhne chalī ho tum 'parvīn'
jahāñ hai zor laTāoñ kā tānseñoñ kā
sukun ye apne saweron ka chain rainon ka
koi hisab nahin hai KHuda ki denon ka
makan kachche the wade the pakke dil raushan
zamana tha wo charaghon ka lalTenon ka
ye sach hai ganw ki raaten KHamosh hoti hain
magar wo shor guzarti hui trainon ka
gale ka haar saliben hain sab dikhawe ki
yahan riwaj hai ab to tilai chainon ka
halak hoti hai maKHluq aur KHudaon par
koi asar hi nahin shewanon ka bainon ka
wahan mushaere paDhne chali ho tum 'parwin'
jahan hai zor laTaon ka tansenon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.