sukut-e-sham samundar parindagan suraj
sukūt-e-shām samundar parindagāñ sūraj
ye lamha lamha badaltā huā jahāñ sūraj
fasīl-e-shahr-e-shikasta ke miT ga.e āsār
guzishta ahd kī kahtā hai dāstāñ sūraj
samundaroñ ke safar par hue ravāna jab
hamāre saath chalā misl-e-bādbāñ sūraj
vo maujeñ mārtā dariyā yā reg-e-sahrā hai
ajiib Dhañg se letā hai imtihāñ sūraj
zamīñ pe rañg haiñ jitne sabhī isī se haiñ
hamāre sar pe chamaktā hai mehrbāñ sūraj
sukut-e-sham samundar parindagan suraj
ye lamha lamha badalta hua jahan suraj
fasil-e-shahr-e-shikasta ke miT gae aasar
guzishta ahd ki kahta hai dastan suraj
samundaron ke safar par hue rawana jab
hamare sath chala misl-e-baadban suraj
wo maujen marta dariya ya reg-e-sahra hai
ajib Dhang se leta hai imtihan suraj
zamin pe rang hain jitne sabhi isi se hain
hamare sar pe chamakta hai mehrban suraj
- Book : Dunya Zaad (Pg. 122)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.