sukut-e-sham se ghabra na jae aaKHir tu
sukūt-e-shām se ghabrā na jaa.e āḳhir tū
mire dayār se guzrī jo ai kiran phir tū
libās-e-jāñ meñ nahīñ sho'lagī kā rang magar
jhulas rahā hai mire saath kyuuñ ba-zāhir tū
vafā-e-vāda-o-paimāñ kā e'tibār bhī kyā
ki maiñ to sāhab-e-īmāñ huuñ aur munkir tū
mire vujūd meñ ik be-zabāñ samundar hai
utar ke dekh safīne se merī ḳhātir tū
maiñ shāḳh-e-sabz nahīñ mahram-e-sabā bhī nahīñ
mire fareb meñ kyuuñ aa gayā hai taa.ir tū
isī umiid pe jalte haiñ rāstoñ meñ charāġh
kabhī to lauT ke aa.egā ai musāfir tū
sukut-e-sham se ghabra na jae aaKHir tu
mere dayar se guzri jo ai kiran phir tu
libas-e-jaan mein nahin sho'lagi ka rang magar
jhulas raha hai mere sath kyun ba-zahir tu
wafa-e-wada-o-paiman ka e'tibar bhi kya
ki main to sahab-e-iman hun aur munkir tu
mere wujud mein ek be-zaban samundar hai
utar ke dekh safine se meri KHatir tu
main shaKH-e-sabz nahin mahram-e-saba bhi nahin
mere fareb mein kyun aa gaya hai tair tu
isi umid pe jalte hain raston mein charagh
kabhi to lauT ke aaega ai musafir tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.