sukut-e-shab ne pukara to sab nikal aae
sukūt-e-shab ne pukārā to sab nikal aa.e
hameñ ḳhabar na huī jaane kab nikal aa.e
abhī to ret sī bikhrī huī thī hadd-e-nigāh
zarā sī aañkh lagī naḳhl-e-shab nikal aa.e
vo terī niiñd thī jo be-ḳhabar rahī shab bhar
vo mere ḳhvāb the jo bā-adab nikal aa.e
nikālnā thā ġhubār-e-safar magar ye qadam
havā-e-shauq meñ sahrā-talab nikal aa.e
qadam qadam pe yahāñ qahqahe lage hue haiñ
ye kaise shahr meñ ham be-sabab nikal aa.e
phir ek lamhe ko Thahrā nahīñ gayā ham se
hamāre dil ne kahā ab to ab nikal aa.e
sukut-e-shab ne pukara to sab nikal aae
hamein KHabar na hui jaane kab nikal aae
abhi to ret si bikhri hui thi hadd-e-nigah
zara si aankh lagi naKHl-e-shab nikal aae
wo teri nind thi jo be-KHabar rahi shab bhar
wo mere KHwab the jo ba-adab nikal aae
nikalna tha ghubar-e-safar magar ye qadam
hawa-e-shauq mein sahra-talab nikal aae
qadam qadam pe yahan qahqahe lage hue hain
ye kaise shahr mein hum be-sabab nikal aae
phir ek lamhe ko Thahra nahin gaya hum se
hamare dil ne kaha ab to ab nikal aae
- Book : Ishq (Pg. 121)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.